Bhabi ki beti se nikaah karna

Q: Kya bhabi ki beti se nikaah kar sakte hain?

A: Agar bhabi ki beti se muraad aap ke bhai ki beti, to ye jaaiz nahi he kyoonke wo aap ki bhateeji he aur bhateeji se shaadi karna jaaiz nahi he. Leikin agar bhabi ki beti se muraad koi beti jo aap ke bhai ke alaawa kissi saabiqah shohar ke nikaah se paida huwi, to aap ke liye us se shaadi karna jaaiz he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)