Buri asar ke liye wazifa

Q: Mera masla yeh he ke jiss ghar mai hum rahete hain wahaan par koi buri bala ka asar to nahi hai kyunki hamara ek bhi kaam hota nahi. Sirf rukawatein aati hain.

A: Har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi kare aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzare. Harwaqt zabaan aur ankh ki hifaazat kare. Gunaah waali zindagi se bache. Is khiyaal ki taraf tawajjuh ne de owr Allah Ta'ala ki taraf ruju kare. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)